10 amazing facts about india in hindi || भारत के बारे में रोचक तथ्य

By sulthan on Sunday, April 16, 2017


10 amazing facts about india in hindi

भारत के बारे में 10 आश्चर्यजनक तथ्य


1.  Aapko jaankar aascharya hoga ki Bharat me sabse jyada post office maujud hai. Karib 1,55,015 post office ke saath Bharat duniya ke sabse bada postal network ban chuka hai.


2.  Kumbh mela humare desh Bharat ka ek pramukh mele me se ek hai. Yehi mele me karodo karodo sradhalu ekatra hote hai. 2011 me isi kumbh mele me karib 7.5 karod sradhalu ekatra huye the. Bhid itni jyada thi ki Antarikhs se bhi dikhaae de rahi thi.





3.  Bharat abhi tak sabhi Kabaddi world cup jeet chuki hai. Purush aur mahila dal dono hi is maamle me aage hai.
4.  Kya aapko pata hai, ki chandrama par paani ki khoj kisne pehle ki thi? 2009 September me Bharat ke ISRO Chandrayan-1 ne apne Moon Mineralogy Mapper (MP3) ka prayog karke pehli baar chandrama par paani ka pata lagaya.


5.  Humare desh Bharat ka pehla Rocket itna chhota aur halka tha ki ise Keral ke Thiruanantpuram me Thumba launching station par ek Bicycle se pohonchaya gaya tha.


6.  Humara desh Bharat ek pramukh dharmik sthan hai. Dharmik kaarono se lagbhag 30-40% bharatiya saakaahaari hote hai. Aur is wajah se Bharat duniya ke sabse bade saakaahaari anukul desh ban jata hai.

7.  Bharat me har saal bohat log janma lete hai. Aur iska % bhi bohat hai. Bharat me har saal janma ki sankhya Australia ki kul jansankya se adhik hai. Bohat anya rastro se bhi adhik hai.


8.  Bharat me bohat log jyadatar English me baatein karte hai. Lagbhag 12 karod log English me baatein karte hai. Jo ki Bharat ki kul jansankya ka 10% hai. Isi ke saath Bharat, America ke baad dusra sabse jyada English bolne wali desh ban jata hai. Future me isi logo ki sankhya badhne ki puri ummid hai.



9.  “0”, ji haan dosto. Zero ki khoj isi Bharat me hi huya hai.



10. Jaise ki aap sabhi ko maalum hai, ki Bharat 2nd largest desh hai. Desh me yatayat karne ke liye sadak ka hona bohat jaruri hai. Bharat me karib 20 lakh mil duri par sadak ko cover kiya gaya hai. Aur isi wajah se Bharat duniya ke sabse bada Road Network me no.1 me hai.

IF YOU LIKE THIS POST THEN SHARE & COMMENT.


"what is internet in hindi" || internet kya hai (in hindi)

What is internet in hindi ||history of internet in hindi "What is internet in hindi", today we all are trying to know about what i...